Thursday 12 April 2012

BEST PEOTRIES OF MOHSIN NAQVI BY ALI(PAGAL)


PYAAR CHUPAYA NA KERO.


Rait par likh k mera nam mitaya na karo,
Ankhen sach bolti hain pyar chupaya na karo,

Log har bat ka afsana bana lete hain.
Sab ko halat ki rudad sunaya na karo,

Ye zaruri nahin har shakhs masiha hi ho.
Pyar k zakhm amanat hain dikhaya na karo,

Shahar-e-ehsas main patthar bahut, hain 'Mohsin'
Dil ko shishe ke jharonkhon main sajaya na karo.

_____________MOHSIN NAQVI______________



Wo bazahir jo zamanay sey khafa lagta hai,
Hans ker bolay bhi duna sey juda lagta hai,

Or kuch dair na bhujnay day isay Rub-e-Saher,
Doobta chaand mera dast-e-dua lagta hai,

Ab k sawan mai na gai zardi cheron ki,
Aisay mausum mai to jungle bhi hara lagta hai,

Shehar ki bheer mai kaha khultay hain us k naqoosh,
Aao tanhai mai sochay k vo kya lagta hai,

Muu chupa'ay huay guzra jo mehboob sey ajj,
Uski ankho mai koi zakham naya lagta hai,

Ab to MOHSIN k tasawur mai basa RUB-E-JALEEL,
Is udaasi mai to pathar bhi Khuda lagta hai.

MOHSIN NAQVI. 
____________________________________________



Dasht Mein Piyas Bujhaty Howe Mar Jaate Hain,
Hum Parinde kahein Jatay Howe Mar Jaate Hain,

Hum Hain Sookhay Huay Talaab Pe Baithe Howe Hans,
Jo Taaluq ko Nibhaatae Howe Mar Jaate Hain,

Un Kay Bhi Qatal Ka Elzam Hamare sar Hai,
Jo Hamain Zaher Pilatay Howe Mar Jaate Hain,

Yeh Mohabat ki kahani Nahi Marti Lekin,
Log kirdar Nibhate Howe Mar Jaate Hain,

Hum Hain Woh Tooti Howi kashtiyon Waale MOHSIN.
Jo kinaaron ko Milaatay Howe Mar Jaate Hain.

MOHSIN NAQVI


MOHSIN NAQVI ONE OF MY FAVOURITE POET AND MY INSPIRATION, I WILL BE POSTING MORE OF MOHSIN POETRIES FROM MY COLLECTION HOPE U WILL LIKE IT THANK YOUALI(PAGAL)

No comments:

Post a Comment