Thursday 27 December 2012

LIKHA BICHAR JANA ALI(PAGAL)





لکھا  بچھڑ   جانا


تو   خوابوں    میں     بسا   جاناں
 تو    خیالوں    میں    بسا    جاناں 
تجھے   چاند  کیسے   کہدوں      میں
داغ    چاند     میں   لگا     جاناں
دنیا   کے  جادو   نہ   دیکھا    کرنا
تم بھی  دنیا   سے  نہ  بدل  جاناں
دور  اک  دریا  کے   کنارے  پر
ہمارا   چھوٹا   سا   ہو    گھر  جاناں
وہ کیسے   مل سکیں  میرے    پاگل
لکھا جن کی قسمت میں ہو بچھڑجانا

علی پاگل

10:24pm 09-Nov-2012 

Saturday 22 December 2012

Meray Pyare Watan ALI(PAGAL)




پھر سے  تجھ  کو  سنواروں گا   میرے  پیارے وطن
تجھ  کو گلشن  سا  نِکھاروں  گا  میرے   پیارے وطن

تیری    بربادی  کے  سپنے  ہیں   تیرے  دشمن  کائی
تیرے    ہر  دشمن  کو  دشمن کو مٹاوں گا میرے پیارے وطن
قابض   تجھ    پر   اب   نہ   کوئی   لُوٹیرا       ہو گا
تجھ کو عامروں سے بچاوں  گا میرے پیارے وطن   
نا     کردہ     گناہی    کی    جو    سزہ    دیتے    ہیں
ایسے منصوں  کو  گراوں  گا  میرے  پیارے وطن
دھواںدھواں  ہے فظاہ   ہاں یہ  وقت مشکل ہے
آساں  مشکلوں  کو  بناوں گا   میرے پیارے وطن
سوئی  ہے   قوم   مگر   جاگا   ہے   تیرا        پا  گل
میں  ان مُردوں کو جگاوں گا میرے  پیارے وطن

علی پاگل 

09:24am 10-07-2012

Thursday 3 May 2012

MOHSIN NAQVI BEST prt 5


Mera Dil Jala MOHSIN


Kahan Itni Sazain Theen Bhala Iss Zindagani Main..!
Hazaron Ghar Huay Roshan Jab Mera Dil Jala "Mohsin"
Faqat Ik Lafz Muhabbat Ki Hum Nay Bheek Mangi Thi
Taras Gaye Khushi Ko Humain Mili Hai Ye Saza "Mohsin"
Sukoon-e-Zindagi Chorra Ik Teri Zaat Ki Khaatir
Magar Phir Bhi Meri Chahat Se Hai Tumko Gila "Mohsin"
Toota Hua Ye Dil Lay Kar Main Kis Kay Paas Jaunga
Hai Kaun Wo Karay Ga Jo Meray Dil Ki Dawa "Mohsin"
Teri Aankhain, Teri Saansain, Tera Chehra, Teri Dharkan
Main Kaise Bhool Paunga Teri Har Ik Adaa "Mohsin"
Kisi Ko Kia Khabar Mujh Pay Har Pal Kia Guzarti Hai
Meri Saari Kahani Ka Hai Tu Hi Aashna "Mohsin"....!

Saturday 28 April 2012

MAIN ZINDA HOON ABHI


MAIN ZINDA HOON ABHI


Mere Qatil ko pukaaro k main zinda hoon abhi
Phir se maqtal ko sanwaro k main zinda hoon abhi


Ye shab-e-hijar to sathi hai meri barson se
Jao so jao sitaro k main zinda hoon abhi


Ye pareshan se gesuu nahi dekhy jatay
Apni zulfon ko sanwaro k main zinda hon abhi


Laakh mojon main ghira hoon abhi dooba to nahi
Mujh ko sahil se pukaaro k main zinda hoon abhi


Qabar se aaj bhi""MOHSIN""ki aati hai sada
Tum kahan ho mere yaaro k main zinda hoon abhi.... 


Poet - MOHSIN NAQVI
By ALI(PAGAL)

Monday 23 April 2012

WO HUMSAFAR THA MOHSIN NAQVI


WO HUMSAFAR THA

wo humsafar tha magar us se hum nawayi na thi,
k dhoop chaon ka aalam raha judai na thi,

Adawatein thi Taghaful tha Ranjishen thi Magar,
Bicharne wale main sab kuch tha magar be wafai na thi,

Bicharte waqt un aankhon main thi hamari ghazal,
Ghazal bhi wo jo kabhi kisi ko sunayi na thi,

kisay pukaar raha tha wo doobte huey din,
sada to ayi thi lakin koi duhaayi na thi,

kabhi ye haal k dono main yak-dili thi MOHSIN,
kabhi ye marhala jaise k aashnayi na thi.

Poet - MOHSIN NAQVI

By ALI(PAGAL)

MERA DIL JALA MOHSIN



Kahan itni saza’en thi bhala is zindgani mein,
Hazaron ghar huwe roshan jab mera dil jala MOHSIN.

Faqat ik lafz “MOHABBAT” ki hum ne bheek mangi thi,
Taras gaye khushi ko hum mili hai ye saza MOHSIN.

Sukoon e zindagi chora ik teri zaat ki khatir,
Magar phir bhi meri chahat se tum ko hai gila MOHSIN.

Toota huwa ye dil le kar main kis k paas jaonga,
Hai kaun wo karay ga jo mere dil ki dawa MOHSIN.

Teri ankhain teri sansain tera chehra teri dharkan,
Main kaise bhool paön ga teri har ik adaa MOHSIN.

Kisi ko kya khabar mujh par har pal kya guzarti hai,
Meri saari kahani ka hai tu hi aashna MOHSIN.

Nahi qaabil tere lekin munasib jo agar samjho,
Yaad rakhna duaon mein yehi hai ilteja MOHSIN.

Poet - MOHSIN NAQVI

By ALI(PAGAL)

Sunday 22 April 2012

Tune dewana bnaya to main dewana bana




Tune dewana bnaya to main dewana bana,
Ab mujhay hosh ki dunya main tamaasha na bana,

Zoq-e-brbadi-e-dil ko bhi na kur tu barbaad,
Dil ki ujri hui bigri hui dunya na bana,

IshQ main deeda-o-dil sheesha-o-pemaana bana,
Jhum ker baith gaye hum wahin mekhana bana,

Ye tamanna hai ke aazad-e-tamnna hi rahu,
dil-e-mayus ko manus-e-tamnna na bana,

Nigh-e-naaz se puchain gai kisi din ye Zahin,
tunay kya kya na bnaya koi kya kya na bana!!

Poet ZAHEEN SHAH TAAJI

Saturday 21 April 2012

MOHSIN NAQVI BEST COLLECTION EVER (part) 3


KYA NAAM TERA


Ye Yaad Nahi Kya
Kuch Khoya,
Bus Yaad Raha
Mujhe Pyar Hua,
.
Jub Pyar Hua
Sub Bhool Gaye,
Ek Yaad Raha
Bus Naam Tera,
.
Hum Masjid
Mandir Bhool Gaye,
Mujhe Yaad Raha
Bus Saath Tera,
.
Kuch Saloon Ba’ad
Wo Hum Se Milay,
Me Pooch Betha
Kya Haal Tera?
.
Wo Hans K Bolay
Aey “MOHSIN”
Tu Ye To Bata Kya
Naam Tera?


Poet  - MOHSIN NAQVI

By ALI(PAGAL)

Wednesday 18 April 2012

SHAAD AZEEMABADI ( DHUNDO GAY AGER MULKO MULKO)


DHUNDO GAY AGER MULKO MULKO



Dhundo gey agar mulkon mulkon, milnay ke nahien nayab hain ham.
Tabeer hai jis ki hasrat-o-gham, ay humnafaso woh khwab hain ham.

Ay dard bata kuch tu hi pata, ab tak ye muamma hal na hua;
Hum mein hai dil-e-betaab nihan, ya ap dil-e-betaab hain ham.

Main hairat-o-hasrat ka mara, khamosh khara hoon saahil par;
Darya-e-muhabbat kehta hai, "Aa kuch bhi nahien payab hain ham."

Laakhon hi musafir chaltay hain, manzil pay puhanchtay hain do aik;
Ay ehl-e-zamana qadar karo, nayab na hoon kamyaab hain ham.

Murghan-e-qafas ko phoolon ne, ay ‘Shad’ ye kehla bheja hai;
Aa jaao jo tum ko aana ho, aesay mein abhi shadab hain ham. 


Poet: Shad Azeemabadi 


By: ALI(PAGAL)

Tuesday 17 April 2012

MOHSIN NAQVI BEST COLLECTION EVER 2


TARK E MOHABBAT KAR BAITHAY



Tark-e-mohabbat kar baithey hum, zabt-e-mohabbat aur bhi hai
Aik qayaamat beet chuki hai, aik qayaamat aur bhi hai

Hum nay osi ke dard se apney saans ka rishta jod.r liya
Warna shehar main zinda rehey ki ik soorat aur bhi hai

Doobta suraj dekh ke Khush ho rehna kisko raas aaya
Din ka dukh sehney waloon, raat ki vehshat aur bhi hai

Sirf rutooN ke badalney ke saath badaltey rehney par mauqoof nahi
Os maiN bacchooN jaisi zid karney ki aadat aur bhi hai

Sadyoon baad osey dekha, dil nay phir mehsoos kia
Aur bhi gehree chaut lagee hai, dard ki shiddat aur bhi hai

Meri bheegtee palkoon par jab os nay donoo haath rakhey
Phir yeh bhaid khula in ashkoon ki qeemat aur bhi hai

Osko ganva kar "Mohsin" oske dard ka qarz chukana hai
Aik azziyat maand pad.ree hai aik azziyaat aur bhi hai !!


MOHSIN NAQVI

By ALI(PAGAL)


Friday 13 April 2012

MOHSIN NAQVI BEST COLLECTION EVER BY ALI(PAGAL)

MOHSIN NAQVI NO DOUBT IS ONE OF THE BEST POET OF ALL TIME, AND HERE ARE SOME OF HIS BEST BEST BEST POETRIES, MY INSPIRATION IS MOHSIN NAQVI AND NASIR KAZMI,



ZAAKHM ASY JO NA BHARTAY DEKHAY



Kaash Aa Jaye Vo Mujhy Jaan Se Guzarty Dekhy
Us Ki Khawahish Thi Kabhi Mujh Ko Bikharty Dekhy
Wo Saleeqy Se Hua Hum Se Gurezan Warna
Log To Saaf Mohabat Se Mukarty Dekhy
Waqat Hota Hai Her Ek Zakham Ka Marham Mohsin
Phir Bhi Kuch Zakham Thy Asy Jo Na Bharty Dekhy.

MOHSIN NAQVI BY ALI(PAGAL)

Thursday 12 April 2012

BEST PEOTRIES OF MOHSIN NAQVI BY ALI(PAGAL)


PYAAR CHUPAYA NA KERO.


Rait par likh k mera nam mitaya na karo,
Ankhen sach bolti hain pyar chupaya na karo,

Log har bat ka afsana bana lete hain.
Sab ko halat ki rudad sunaya na karo,

Ye zaruri nahin har shakhs masiha hi ho.
Pyar k zakhm amanat hain dikhaya na karo,

Shahar-e-ehsas main patthar bahut, hain 'Mohsin'
Dil ko shishe ke jharonkhon main sajaya na karo.

_____________MOHSIN NAQVI______________



Wo bazahir jo zamanay sey khafa lagta hai,
Hans ker bolay bhi duna sey juda lagta hai,

Or kuch dair na bhujnay day isay Rub-e-Saher,
Doobta chaand mera dast-e-dua lagta hai,

Ab k sawan mai na gai zardi cheron ki,
Aisay mausum mai to jungle bhi hara lagta hai,

Shehar ki bheer mai kaha khultay hain us k naqoosh,
Aao tanhai mai sochay k vo kya lagta hai,

Muu chupa'ay huay guzra jo mehboob sey ajj,
Uski ankho mai koi zakham naya lagta hai,

Ab to MOHSIN k tasawur mai basa RUB-E-JALEEL,
Is udaasi mai to pathar bhi Khuda lagta hai.

MOHSIN NAQVI. 
____________________________________________



Dasht Mein Piyas Bujhaty Howe Mar Jaate Hain,
Hum Parinde kahein Jatay Howe Mar Jaate Hain,

Hum Hain Sookhay Huay Talaab Pe Baithe Howe Hans,
Jo Taaluq ko Nibhaatae Howe Mar Jaate Hain,

Un Kay Bhi Qatal Ka Elzam Hamare sar Hai,
Jo Hamain Zaher Pilatay Howe Mar Jaate Hain,

Yeh Mohabat ki kahani Nahi Marti Lekin,
Log kirdar Nibhate Howe Mar Jaate Hain,

Hum Hain Woh Tooti Howi kashtiyon Waale MOHSIN.
Jo kinaaron ko Milaatay Howe Mar Jaate Hain.

MOHSIN NAQVI


MOHSIN NAQVI ONE OF MY FAVOURITE POET AND MY INSPIRATION, I WILL BE POSTING MORE OF MOHSIN POETRIES FROM MY COLLECTION HOPE U WILL LIKE IT THANK YOUALI(PAGAL)

Saturday 7 April 2012

SHAYARI / POETRIES WHICH TOUCH YOUR HEART


MERAY ANSU CHUPANA,



Ab k baras jo badal tum ana, 
Bundoo mein apni meray ansu chupana, 

Gham dekh ker meray duniya hasay gi, 
Meray gham na dikhay mera parda ban jana, 

Bundoo mein apni meray ansu chupana... 

Taan,Maan,Dhan mein sub pyaar pe hara, 
Ho sakay to jism ki junbish ban jana, 

Bundoo mein apni meray ansu chupana... 

Kuch dost purana jin ko hum nahi bhatay, 
Unko haal tum mera acha he batana, 

Bundoo mein apni meray ansu chupana... 

Paa k muhabbat sachi, na nazray churana, 
Hota hai mushkil dard e judai sah pana, 

Bundoo mein apni meray ansu chupana... 

Bhoolay say kanhi ager vo mil jai tum ko, 
khena, Tumhey kerta hai yaad vohi dewana, 

Bundoo mein apni meray ansu chupana... 

"P@gAL" meri shayari haari us k husun k agay, 
Na mumkin hai Husun ko us k bayan ker pana, 

Bundoo mein apni meray ansu chupana..

Poet (ALI P@gAL)


_________________________________________________________________________________

KABHI SOCHA KYA HAI TUM NEY



Kabhi socha kya hai tumney, 
Ye badal jo barastay hain, 
Shayad kisi ki ulfat ko, 
Ye badal b tarastay hain, 
Kabhi socha kya hai tumney, 
Ye badal bohat he rotay hain, 
Lakin Gham e jana k ashkon sey, 
Ye khushyian sub ko bakshtay hain, 
Kabhi socha kya hai tum ney, 
Hijar ka ghum bara gham hai,
Duaien hain bay asar is pr,
Is marz ki dawa kam hai,
Kabhi socha kya hai tumney, 
Ye badal bilkul meray jaise hain, 
Ye gham apna nahi khetay, 
Ye chup chup unko sehtay hain, 
Kabhi socha kya hai tumne, 
Ye barastay huay jo badal hain, 
Ye bilkul meray jaise hain, 
Ye Badal bilkul "PAGAL" hain 

Poet (ALI PAGAL)


_________________________________________________________________________________

DEWANAE KHETAY MUJHEY DEWANA HAI



AJJ MERAY KHILAF YE SARA ZAMANA HAI, 
MAGER USAY LOAT KR TO MERAY PAS HE ANA HAI, 

KUCH IS TARHA TERAY ISHQ MEIN FANA KIYA KHUD KO, 
K DEWANAE KHETAY MUJHEY TERA DEWANA HAI, 

MERAY DUSHMANO MERAY RAKIBO MERI BAAT SUNO, 
K DIL-E-BE JAAN KHETA MUHABBAT KA FASANA HAI, 

VO JAISAY CHAHAY MAI  WAISA KERU YAARO,
WO CHAHAY TO JEE LOON, WO KAHAY TO MAR JANA HAI,

DUA KERO K MERI YE GHAZAL USAY PASSAND AA AYY, 
VOTO "MOHSIN" "NASIR" O "GALIB" KA DEWANA HAI, 

'P@gAL' DOOBNA MUHABBAT MEIN ASAAN HAI PYARE, 
LAKIN BOHAT HE MUSHKIL ISAY NIBHANA HAI,

KUCH IS TARHA TERAY ISHQ MEIN FANA KIYA KHUD KO, 
K DEWANAE KHETAY HAIN K YE TERA DEWANA HAI,

Poet (ALI PAGAL)

Will be posting more of My Stuff
ALI P@gAL